source link (google.com.pk)
Eid pe teri deed na hona,
Kya kijiye is eid ka hona..
Wese to nahin miltey, chalo kar lein bahana,
Seeney se lag ke mere kaho Eid mubarak..
Tujhey Yaad Karty Hain To Eid Mana Lety Hain,
Hum Ne Apney Liye Teh’waar Alag Rakha hai…
kitni Mushkilon Sy Falak per Nazar Ata hai,
Eid ke Chand Ka Andaaz Tumhare Jesa Hai..
Eid ki chooriyan le ao gi jab tum,
Na ho koi pehnaney wala, to mujhe yad karna..
Tere kehne pe lagayi hai yeh mehndi mene,
Eid per ab tu na aya to qayamat hogi
Furqton ke rozay rakh raha hoon barson se,
Chaand bhi nahin hota, Eid bhi nahin hoti..
Dastoor hai duniya ka magar yeh to batao,
Hum kis se milain kis se kahen Eid mubarak ?
Chaand chehrey ko tere dekha to ehsaas hua,
Eid to kal hai magar aaj manaa li jaye..
Gheir’on mein hai jo shaad usey eid mubarak,
Jis ko hum nahin hain yaad usey eid mubarak,
Masoom se armaan’on ki masoom si duniya,
Jo kar geya barbaad usey eid mubarak..
Eid ke chand ko dekho to rok lo aansuu,
Jo ho sake to mohabbat ke ehtraam karo..
Eid aayi hai sulagti hui yaaden le ker,
Aaj phir apni udaasi pe taras aaya hai..
Eid ke chaand ghareebon ko pareshan na kar,
Tujh ko maloom nahin ghareeb ki haal mein hai..
Tere bagher eid mein woh ronak’en kahan,
Bekaar sa hai mere liye eid ka sawaal..
Is Ke Aanay Se Howay Zakham Haray Kitnay “Batool”
Eid Se Kehdo Mere Sheher Mein Aya Na Karay……….!
Udhar se chand tum dekho, Idhar se chand hum dekhen,
Nigaahain yu’n takrayen ke do dilon ki Eid ho jaye..
Eid ka Din hai Aaj to Gallay Mill le Nasir,
Rasm-e-Dunia bi hai Mouqa bi hai Dastoor bi hai.
Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Ke Libas,
Ab Moharram Ki Taraah Woh Eid Manaati Hogi…
Kitni mushkilon se falak per nazar aata hai,
Eid ke chand ne bhi andaaz tumhare seekhe..
Ghareeb maan apne bachon ko bare pyar se yu’n manati hai,
Phir bana lain ge naye kapre yeh Eid to har saal ati hai..
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
EID SAD POETRY
No comments:
Post a Comment