Wednesday, 7 May 2014

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU
Source link(google.com.pk)

Tazad-e-Jazbat mein yeah nazuk muqam aya to kia kero gaye

Mein ro raha hoon to hans rahay ho, Mein muskuraya to kia kero gay?

Mujhe to is darja waqt-e-rukhsat Sakoon ki talqeen ker rahay ho

Magr kuch apne liye bhi socha mein yaad aya to kia kero gay?

Abhi to tanqeed ho rahi hai mere mazaq-e-junoon pe lekin

Tumhari zulfoon ki barhami ka sawal aya to kia kero gaye?

Tumharay jalwoon ki roshni mein nazar ki hairaniyan muslim

magr kisi ne nazar ke badle jo dil azamaya to kia kero gaye ?

Utar to sakte ho paar lekin maal per bhi nigha dhalo

Khuda na karda sakoon-e-sahil na raas aya to kia kero gaye?

Kuch apne dil per bhi zakhm khaoo mere lahoo ki bahar kab tuk

Mujhe sahara banay waloo mein larkharaya to kia kero gaye?

Abhi to daman churda rahay ho, bigar ke Qabil se jaa rahay ho

Magr kabhi jo dharknoon mein shareek paya to kia kero gaye
]


Wo kehti hai, Chaloo Farhat! Hawa ke sath chalte hain

Mein khamoshi se uske sath chal deta hoon bhujne ko

Wo mujhe se pochti hai tum kahan ghayab ho sadiyoon se

Mein kehta hoon hazaroon waswasoon ke darmiyan ghum hoon

Wo Mujh se pochti hai raat ki bechainiyan kia hain

Mein kehta hoon, wohi jo dooriyoon ke dil mein hotien hain

Wo mujh se pochti hai khof ka doraaniya kia hai

Mein kehta hoon, jo dil aur ghum ka hota hai museebat mein

Wo mujh se pochti hai badloon ki umer kitni hai

Mein kehta hoon tamzat ke mutabiq Paniyoon ke waqt jitni hai




Tu Ne Nafrat Se Jo Dekha To Mujhe Yaad Aya By Mohsin Naqvi

Tu ne nafrat se jo dekha to mujhe yaad aya!

Kaisay rishtay teri khatir yoon-hi torde aya hoon

Kitne dhundle hain yeah chehray jinhien apnaya hai

Kitni ujli thien wo ankhien, jinhien chorde aya hoon


Bikher rahay hain meri zindagi ke tamam warq

Na janay kab koi andhi urda ker le jaye

Mein kab tuk dosroon ke dukh sambhal ke rakhoon “Faraz”

Jis jis ke hain wo nishani baata ke le jaye


Talab ko ujar na doon, fiker-e-rah-ghuzar na keroon

Safar mein ab ke hawa ko bhi humsafar na keroon

Ubhartay suraj se torde loon rishta

Mein shaam urdhe ke so jaoon aur sehar na keroon

Yeah mere durd ki doulat, meri mata-e-firaq

In ansoon ki wazahat mein umer bhar na keroon

Ujar shab ki khalish ban ke “BUN” mein kho jaoon

Mein chandni ki tarah khud ko dar badar na keroon

Wo aik pal ko Dekhaye to de kahien “Mohsin”

Mein jaan ghanwa ker bhi us pal ko mukhtasar na keroon



Ab ki baar uska hadf meri anna thi

So Sulha ka parcham jala diya mein ne





SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU
SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU
SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU

SAD POETRY IN URDU


                

No comments:

Post a Comment