Wednesday 7 May 2014

SAD LOVE POETRY

SAD LOVE POETRY

Source link (google.com.pk)

Mehsoos kar raha hoon main jene ki talkhian

Shyad muje kise se muhabat nahi rahi


Bahut Dur Magar Bahut Paas Rehte Ho
Aankhon Se Dur Magar Dil Ke Paas Rehte Ho
Mujhe Bas Itna Bataa Do Ae Dost
Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho


Ajj Tari Yad Ko Sinay Sa Laga Ka Roye
Apne Khabon Mai Pass Bula Ka Roye
Sankro Pukara Tuje Tanhayon Mai
Aur Har Bar Tuje Na Pa Ka Roye


Tum Se Meri Bat Hoi Thi
Tum Ne Mujh Ko Samjhaya Tha

Apni Zaat Se Bahar Niklo
Ghar Ko Lauto, Ghar Ko Dekho
Aur Bhi Log Tumhare Dam Se Zinda Hain
Tum Main Apni Sari Khushiaan
Dekh Rahe Hain

Soch Liya Hai
Dekh Liya Hai
Laut Aaya Hon
Lekin Mere Andar Koi Tot Gaya Hai


Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi

Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi

Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi

Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi

Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi

Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi

Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi

Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi

Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi

Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi






Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey

Roshni chahiye lekin isi ik skauk mai ham
Ghar ko sholo?n k hawaley to nahi kar saktey

Noor ki rah mai deewar utthane waley
Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey

Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad
Guftugu pao?n k chhaley to nahi kar saktey

Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par
Yoo?n kabhi chahney waley to nahi kar saktey

Bad ghuma?n ham se hain kutch laug to majboor hain ham
Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey?!!!






Dil magar kam kisi say milta hay?!

Aadmi, aadmi say milta hay?

Dil magar kam kisi say milta hay?

Bhool jaata hoo?n mai?n sitam us k?

Woh kuch is saadgi say milta hay?

Aaj kya baat hay k phoolo?n ka?

Rang tairi ha?nsi say milta hay?

Mil k bhi jo kabhi nahee?n milta?

Toot kar dil usi say milta hay?

Rooh ko bhi maza mohabbat ka?

Dil ki hum-sa?igi say milta hay?

Karobaar-e-jahaa?n sa?nwartay hai?n?

Hosh jab bay-khudi say milta hay?

Dil magar kam kisi say milta hay?

Aadmi, aadmi say milta hay?!



Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?!

Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?

Kaho kis ko bataao gay?

Woh apni uljhanai?n saari?

Woh bay-chaini may doobay pal?

Woh aankho?n may chhupay aa?nsu?

Kisay phir tum dikhao gay?

Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?

Bohot bay-chain ho gay tum?

Bohot tanha reh jao gay?

Abhi bhi tum nahee?n samjhay..!

Humaari an-kahi baatai?n..!

Magar jab yaad aaey?n gay?

Bohot tum ko rulaey?n gay?

Bohot chaaho gay phir bhi tum?

Humai?n na bhool pao gay?

Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?!



Ek Gulaab Tha
Zara Der Ka kOi
Khwab Tha,
Jo Guzar Gaya Si
Guzar Gaya
Wo Udaas Dhoop
Samait Ker
kahin Wadiyo?n Main
Utar Gaya
Usay Ab Na De Mere
Dil Sada
Jo Guzar Gaya So
Guzar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna
Taveel Hy
Yahan Waqt Kitna
Qaleel Hy
Kahan Laut Ker Koi
Aaye Ga
o Guzar Gaya So
Guzar Gaya ?!!



Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,

Ta-umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,

Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,

?Faakir? sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya.





SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY

SAD LOVE POETRY

SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY

SAD LOVE POETRY

SAD LOVE POETRY

SAD LOVE POETRY


SAD LOVE POETRY

              

No comments:

Post a Comment