Wednesday 7 May 2014

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY
source link(google.com.pk)



Is Liye Tu Bachon Par Noor Barasta Hai
Shirartain Tu Karte Hain Sazishain Nahi Karte - See more at: http://www.sadpoetry.org/category/urdu-poetry/#sthash.RWWOWaiO.dpuf
Tu Intkhab-e Rang Mai Masrof Aur Idhar
Koir Tere Junon Mai Siah Posh Ho Gya -

Kitabon Ki Tarah Hai Wo Bi
Alfaz Se Bharpor Mgr Khamosh -

 Mere Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhe

Mere Kamray Me Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi...

 Tujh Se Lafzon Ka Nahi Rooh Ka Rishta Hai

Tu Meri Saans Me Tehleel Hai Khushbu Ki Tarha...

 Us Ki Chahat K Do Lamhay Jaan Lewa The



 Preshaan Ho K Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye

Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye

Kabhi Chori Hui Manzil Bhi Yaad Ati Hai Raahi Ko

Khatak Si Hai Jo Seenay Me Gham-e-Manzil Na Ban Jaye...





Pehla Mohabat Ka Iqrar Dusra Mohabat Se Inkar...



 Vaikh Bandeya!

Aasmana Te Urdy Panchi

Vaikh Te Sahi Ki Karde Ne

Na O Karde Rizq Zakheera

Na O Bhukke Marde Ne

Kaddi Kise Ne Urday Panchi

Bhukke Marde Vaikhe Ne?

Banday Hi Karde Rizq Zakheera

Banday Hi Bhukke Marde Ne...


 Mere Zehan Ko Jo Nahi Qabool Wohi Log Hain Mere Humsafar

Mujhe Har Tarha Se Jo Raas Tha Wohi Shakhs Mujh Se Bichar Gaya...


 Muhabbat Me Dil Ka Tootna Tum Kabhi Nahi Jaan Paoge

Agar Hoti Logon Me Wafa To Aaj Hum Udaas Na Hote...


 Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aankhon Me Aansoo Hain

Jo Tu Samjhe To Moti Hai, Jo Na Samjhe To Pani Hai...


 Log Kehte Hain K Dil Mera Pathar Ka Hai

Lekin Kuch Log Aise Bhi The Jo Ise Bhi Tor Gaye...

 So Jata Hai Footpath Pe Akhbaar Bicha K

Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khata...

 Musalsal Ishq Ki Bazi Jo Na Khelo To Behtar Hai

Muhabbat Aag Jesi Hai Jalaa Kar Raakh Kar Degi...



 Har Aik Darakht Hai Jharrna Meri Jaan
Isy Kehte Hain Ujarna Meri Jaan
Kesa Lagta Hai Sawarny K Liye
Baaz Aukaat Bigarrna Meri Jaan
Teri Aamad Ka Pata Deta Hai
Saans Ka Aise Ukharna Meri Jaan
Roshni Apni Jagha Ghairti Hai
Tum Hawaaon Se Na Larna Meri Jaan
Hum Nahi Hon Ge To Peshaani Koi
Kisi Pathar Pe Ragarna Meri Jaan
Tere Milne Se Khula Hai Mujh Par
Kitna Mushkil Hai Bicharna Meri Jaan
Asmaan Khaak Hue Hain Pal Me
Kya Zameeno Pe Akarna Meri Jaan...


 Mere Chehre Se Mera Dard Na Parh Paoge Wasi

Meri Aadat Hai Har Bat Par Muskura Dena...

 Kaam Usy Aa Para Hai K Jis Ka Jahaan Me

Lewe Na Koi Naam Sitamgar Kahe Bagair...

 Mujhe Arzoo-E-Sahar Rahi
Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak
Na Bikhar Saka Na Simat Saka
Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak
Tha Bohat Azab Aur Akele Hum
Shab-E-Gham Bhi Meri Taweel Tar
Rahi Zindagi Bhi Saraab Aur
Rahi Aankh Tar Bari Dair Tak
Yahan Har Taraf Hai Ajab Samaa
Sabhi khud Pasand Sabhi Khud Numa
Dil-E-Beqarar Ko Na Mil Saka
Koi Chara Gar Bari Dair Tak
Mujhe Zindagi Hai Aziz Tar
Isi Waste Mere Hamsafar
Mujhe Qatra Qatra Pila Zeher
Jo Kare Asar Bari Dair Tak…
                                    URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY


URDU SAD POETRY


URDU SAD POETRY


URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY

URDU SAD POETRY


URDU SAD POETRY


URDU SAD POETRY


                      

No comments:

Post a Comment